Friday 14 September 2012

Hindi: ek sawaal??

Sabse Pehle maafi chahta hu ke main devnagri lipi ka upyog kisi kaaran wash nahi kar paas raha hu.
Aaj hinDi diwas hai. Mere man me wo ek sawal fir se uth khara  hua hai ke kya Hindi sirf kehne ke liye hamari rashtriya bhasa hai? Kya hum Hindi ko sirf Hindi diwas pe hi yaad karenge jaise ki use shradhanjali de rahe ho? Kya Hindi itihaas ke panno me dab ke reh jaaegi? Kya sach me hamari apni Hindi kuchh Dino kI mehmaan hai? Jaisa mahaul banta jaa raha hai us se to saari baatei sach hoti dikh rahi hain mujhe. Angreji ke dhun me hamari bhasa kahin gum si hui jaa rahi hai.
Aaj chahe tabka Chhota ho ya Bada, har koi chahta hai ke unke bachche English medium school Me padhe. Is se koi aapakta nahI hau lekin dard tab hota haI jab log ek vishay Hindi ko nazarandaaz kar dete hain. Hindi naa aata ho koi baat nau lekin Angreji aani chahye. Kuchh log ghar se bahar nikalte hi Hindi ko chhor Angreji ka daaman thaam lete hain. Aakhir Kyun? Kyun unhei sharam si aati hai apni bhasa bolte hue. Kuchh log Jo Hindi ko tarzeeh dete hain unhei heen bhawana ke saath kyu dekha jaata hai. Hindi na bola ho koi paap kar diya ho. Angreji ko Kyun ek status symbol ke roop me dekha jaata hai. Mujhe to aaj tak samajh nahi aaya ke hum dusro ke kapre pehen itna khus kyu hote hain.
Vidyalayo aur mahavidyalayi me pabandI si laga Di gayi hai Hindi bolne par. Sansad me Angreji bhasa boli jaati hai. Yahan tak ki humare uchch aur sarvochch nyayalayo Me dalilei tak firangiyo ke andaaz me diye jaate hain. Main sochta hu to gussa v aata hai aur hasi bhi. Fir Khud pe sharam si aa jaati hai aur sar jhuk jaata hai.
Kya humari bhasa firangi bolted hain? Kya koi aur desh apni bhasa chhod kar koi aur bhasa apnata hai. To fir hum Kyun aisa kar rahe hain. Main ye nahi kehta Angreji tyag karo lekin hindi ko Kyun kachra samajh rahe ho. Angreji antarrashtriya bhasa hai. Humei aani chahye aur jarurat padne par Uska upyog bhi Karna aavashyak hai. Kintu apni bhasa ka apmaan kahan tak sahi hai.
Hindi hindustaan ki bhasa hai aur Humei uspe na sirf garv hona chahye balki use bolne me bhi fakhra mehsus Karna chahye. Hindi bhasiyo ko samman ki nazar se dekhna chahye. Hindi humari hai aur hum Hindi ke hain. Humara kartavya hai ise sambhal ke rakhna chahye. Ise banaye rakhna hai. Main ummeed karta hu k Hindi ki dasa badlegi aur fir se hum apni bhasa ko Apna lengey.
Jay hind. Jay Hindi.

No comments:

Post a Comment