Monday 1 October 2012

Bete ka dil.

Yun to main har subah jaldi uth jaata hu par aaj merI neend zara Der se khuli. Ya yun keh lijiye ki 4 ghante Der khuli. Main Av nityakarmo se nivrit ho, snan kar ke baahar nikla hi tha ki kisi ki aawaj Aai. Saayad wo daakiya tha. Main Thora achambhit sa ho gaya. Aaj ke jamaane me daakiya aur wo v chithhi lekar. Ye to kamal hi hk gaya. Us se v aascharya mujhe iss baat pe hua k iss phone aur mails ke jamaane me mere aise kaun se chahne waale ho gaye jinhone mujhe chithhi bheji hai. Koi baat nahi Pehle chithhi to le lu fir pata to chalna hi hai us subhchintak ke baare me.
Main baahar nikla to daakiya babu aaram se kursi pe baith kar akhbaar ka aanand le rahe the jaise ki ye unka hi ghar ho aur unhe kuchh kaam bacha na ho karne ke liye. Namastey daak babu, bare din baad dikhe aap to kabhi humari v khoj khabar v le liya karo, Maine puchha. Aur unka jawab v kuchh jana pehchana sa hi tha, aajkal chithhiya kaun bhejta hai sharma ji. Daftar me kaam nai to jaana aana v kam hi rehta hai. Sach v to tha,  iss chhote se Gaon ka daakghar kaha kaam me aata hai kisi ke. Wahan to log baith ke patte khela karte hain. Iss aadhunikta ne kuchh chijo ko to mitane ki hi thaan li ho jaise.
Maine un mahasay se wo apni chithhi le li Lekin dekha to wo kuchh purani si lagi par likhawat kuchh jaani pehchani si. Ye chithhi aapko kaha se mil gayi, Maine daak babu se puchhh hi liya. Kya batau bhai saahab, diwali aa rahi haI so aaj Daftar ki saaf safaai me laga tha aur ye aapke naam ki chithhi mujhe mil gayi. Socha ke aapko pahucha v dunga aur isi bahaane aspse mil v lunga aur main daura chala aaya. Unka jawab mujhe raas naa aaya, log sahi karte hain ab daak ka istemaal nahi karte hain. Kam se kam khabar to beech me kisi ki laparwahi ki wajah se nahi atak jaati. Gussa kar ke koi fayada v nahI tha. Maine aaram se chithi kholi, likhawat mere bade bete sanjay ki thi. Main us chithhi ko padhta chala gaya. Padhte padhte meri aankhe bhar aayi. Saayad wo paschataap ke aansu the. Saayad main apne khun ko kabhi samajh hi nahi paaya, iss baat ka dukh tha ya aakrosh ki ab main kuchh nahi kar sakta. Mujhe aaj bhi yaad hai jab saat saal Pehle Maine uski Saadi ki thi aur wo bina koi sawal Kiev meri baat Maana baitha tha Lekin kuchh udaas sa. Uski hansi kahi gayab si ho gayi thi. Kaas main uski udaasi ki wajah jaan pata uss din to aaj sab khus hote aur wo v Muskuraati raha hota. Kaas ye baat mujhe Pehle pata chal jaati ki mere bete ki khusi kisi aur me hai to main uski Saadi jarur uski pasand ki Larki se karwa deta. Usne to mujhe bas ek baar us Larki se milne ko kaha tha Lekin Main ye v na kar saka . Kaise karta, ye kambakht chithhi Jo aaj mili hai mujhe. Chhoti si galti jiski saja wo av v bhugat raha hai. Bina sikayat ke jiye jaa raha hai. Ab ho bhi kya sakta hai. Iss baat ko to saat saal beet chuke hain.
Mujhe ji bhar ke Khud ko kosne ko ji chaah raha tha.mujhe gussa aa raha tha, Khud pe ya daakiye pe ya sanjay pe, main ye tak samajh nahI paa raha tha. Kaas Usne ek baar kaha hota, kehta kaise ?Usne aaj tak mujhse sar uthakar baat bhi ki hai kya. Saari galti meri hi hai aur kuchh iss nikammi Dak vibhag ki bhi.
Aap ro rahe hai sharma ji, aisa kya hai iss chithhi me, daak babu ne puchha. Mujhe jawab sujha nahi. Maine Socha kuchh Der tak aur kaha ' ye ek bete ka dil hai Jo ek baap kabhi samajh naa paaya.' daak babu bas mujhe dekhte reh gaye.

No comments:

Post a Comment