Wo sisakti laash.
Pari hui hai us charpai par.
Man me kuchh sawal liye.
Av v soch raha hai apni galtiyo ko.
Wo galti thi ya uski nadani.
Sayad galti hi thi Jo use ye saza mili.
Galti nahi Usne to gunah kiya tha.
Us bachhe ne to pyaar kiya tha.
par use kaha pata tha zamane ka dastoor.
kuchh Palo me hi ho gaya masuhoor.
hai se tha ho gaya.
Pichhe chhod gaya apni sarkAti lash ko.
Achha hua sar gayab tha.
Warna dekh nahi pata apnI haalat Khud.
Khub koshta zamane ko.
Bichara fir se mar jaata.
Uski siskiya koi sun nahi pa raha hai.
Sayad sab soch rahe hai k sarkAti lash hai kya roega.
Sab to apni rotiya sek rahe hai uski maut se.
Uske jakhmo ko Kyun bhala koi dhoega.
Av to ye suruaat hai.
Ant ka kisi ko pata nahi.
Soch raha hai para hua.
Kyun mili ssza jab khata nai.
Bichara use kya pata k yahi hota hai.
Sachha hi aaj rota hai.
Jhute yunhi maje lete hai.
Bhalai karne wala hi khota hai.
Ab roj hungame hongey uski maut ko.
Morche banengey vote gine jaengey.
Aadhe udhar aur Aadhe idhar.
Aawaj uthegi to daba diye jaengey.
Bharkengey dangey.
Chalengi goliyaan.
Jaanch ke aadesh aur.
Rajnetaaon ki boliyaan.
Kuchh aur marengey.
Laasho ka ambaar lagega.
High alert aur red alert ghosit hoga.
Adhikari badley jaaengey.
In sabke beech pis rahi hai ye lash.
Soch rahI hai uski maut se kiski jeet hui.
Jaanta hai koi uski nahi sunega.
Saayad kuchh din aur yunhi sisakta rahega.
No comments:
Post a Comment