Friday, 20 April 2012

Dil ki tamanna

Tamanna hai unhein pass pane ki,Nazron mein kuchh iss kadar chhupane ki,
Jamaane ki nazron se bachaane ki,
Unke raahon mein phool bichhane ki.

Hai tamanna uss dil mein bass jaane ki,
Unhein thora satane thora manaane ki,
Unki har muskaan pe mar mit jaane ki,
Unki baahon mein yunhi jhool jaane ki,


Hai tamanna unka deedaar kuchh yun pane ki,
Un nigaahon mein yunhi doob jaane ki,
Unki julfon se khel khel jaane ki,
Unke god mein sar rakh so jaane ki,

Har subah unka hi deedaar pane ki,
Raaton ko sapna unhi ka dekh jaane ki,
Unke khayalon mein kuchh yun bas jaane ki,
Unki palkon se neendein churaane ki,

Har raah mein unka saath nibhaane ki,
Unki har manzil tak unhein pahuchaane ki,
Unke har jakhm khud pe jhel jhel jaane ki,
Har haal mein khusi unhein de jaane ki,

Hai tamanna tere sang sang jee jaane ki,
Har pal mein tumhara sath nibhaane ki,
Kuchh iss tarah tera saath pane ki,
Hai tamanna teri baahon me dumm tor jaane ki.

                                       
                                                                                       K.R.Vidyarthy

No comments:

Post a Comment