Here is the latest poem which i have posted on my site and yes here too....just read and comment if you like it....
Bechain Dil
Aaj subah se hi pata nahin kyun,
Dil mein ek bechaini si hai...
Pata nahin kyun Tumhaara khayal
Reh Reh ke dil ko sata saa jaata hai,
Aankhein tarap si uthti hain tumhaare deedaar ko,
Tumhei paas paane ko man machal saa jaata hai...
Tanha saa bhatakta raha andheron mein Raat bhar,
Ek aash thi Dil mein ke subah fir se aayegi,
Subah ki kirno aur panchhiyon ke chehchahaane ke saath,
Man mera yunhi sawar sawar saa jaata hai...
Bhatakte bhatakte tanha raaston mein,
Tmanna si jagti hai tere saath saath chalne ki,
yun to manzil aise bhi paa lengey hum,
par abhi man kabhi sambhal to kabhi fisal saa jaata hai,
Ankhein jab bhi band hoti hain raaton mein kabhi,
Sapno mein aake baatein tum hi kar jaati ho,
Keh jaati ho fir aaogee mujhse milne,
Tumhaare intezaar mein saara hi din guzar saa jaata hai,
Garmiyon ki kadi dhoop mein chhaon ki tarah,
Karkaraati thand mein alaao ki tarah,
Tujhpe aane waale har jakhm har museebat,
Khud pe jhel jaane ko dil kar saa jaata hai,
Tumhein palkon mein kuchh iss kadar chhupa kar,
Tumhein sabki nazron se bachaane ko dil karta hai,
Dil mein jitne bhi khwaab hain tumhaare,
Un sab ko poora karne ko man kar saa jaata hai,
Tumhei har dam muskuraate dekhte rehna,
Tumhaari jheel si aankhon mein doob jaane ko man karta hai,
Tumhein paas paane ko jee karta hai,
Tumhein duniyaan ki har khusi de jaane ko jee karta hai....
Kundan R. Vidyarthy

No comments:
Post a Comment